Kuch ummeedo ki jagah lakiro me khojte hai, hum khudko
ko hamesha apno me sochte hai,
Kash yeh lamha na guzarta aur yeh pal yahi thehar
jaata, hum jo chahte woh hame mil jaata,
Par yeh chahat bhi hume
bemani si lagti hai, teri aarzoo bhi hume ab dhundhli se dikhti hai...
kyunki yeh ummid woh
aasha ki kiran nahi jo sehar dekhegi,
Bas raaste mein paltegi
aur daman chod kahi door chali jayegi,
Kabhi hasaayegi aur kabhi
rulayegi,
Kash yeh ummeed haatho ki lakiro se
badhkar hoti,
Jo hamari kalpanao ki
udaan bharti,
Par likhne wale ne sab
kuch itni khoobsurti se racha hai,
Hum bhi nahi samajh
paate, kya uski marzi ya raza hai,
Bas tabtak isi tarah
zindagi ke daavpench dekhte rahenge,
Uski likhi kitaab mein
apne panne padhenge,
Par kash usne mujhe ek
mauka diya hota,
Apni marzi se ek ummeed
ko sach karne aur jeeneka,
Toh shayad ek ummeed main
zarur puri karti,
Jise lakiro se chupake
dil mein kaid karti....!!!
awesome...
ReplyDeleteThank you!
ReplyDelete